Saturday 8 October 2011

Tujhy Khabr thi


Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai,
Yaqin Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai”


“Laraz Jata Hon Main Ye Soch K Kafir Na Ho Jaon,
Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israar Karti Hai”


“Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per,
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai”


“Main Us Se Pochta Hon Khwab Me, ‘Mujh Se Mohabat Hai?’
Phir Aankhen Khol Deta Hon Wo Jab Izhaar Karti Hai. . .

Gumaan Hai Pyar ka


Nigahon K Tasadum Se Ajab Takraar Karti Hai,
Yaqin Kaamil Nahi Lekin Guman Hai Piyar Karti Hai”


“Laraz Jata Hon Main Ye Soch K Kafir Na Ho Jaon,
Tabiyat Us Ki Pooja Pe Bara Israar Karti Hai”


“Use Maloom Hai Shayad Mera DIL Hai Nishane Per,
Labon Se Kuch Nahi Kehti Nazar Se Waar Karti Hai”


“Main Us Se Pochta Hon Khwab Me, ‘Mujh Se Mohabat Hai?’
Phir Aankhen Khol Deta Hon Wo Jab Izhaar Karti Hai. . .

Raat Phar


Phir Kisi Yaad Nay Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko


Din Ko Aaram Hai Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Kudrat Nay Banaya Mujh Ko


Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko


Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Mere Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko


Yub To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko


Bewafa Zindagi Nay Jab Chor Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko


Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Subah Aur Shaam Bujhaya Mujh Ko


Kaisay Bhoolon Ga Tere Saath Guajare Lamhay
Yad Aata Raha Julfon Ka Hi Saya Mujh Ko.

Dil k Makeen


jazbay badaltay ja rahay hain
Kay jaisay khawab martay ja rahay hain


Koi dil kay liye dil kay makin ko
Nazar andaaz kartay ja rahay hain


Jo dil ka haal hai dil jaanta hai
Bazahir tu sambhaltay ja rahay hain


Chalay tu hain tumharay sheher say hum
Kaaf-e-afsos maltay ja rahay hain


Kabhi jin main guroor-e-tazgi tha
Who khado khaal dhaltay ja rahay hain.

Naam Badal Dena


Ek lafz Mohabbat hai, jissay kar k daikho tum
Barbaad na ho jao to mera naam badal daina..


Ek lafz Muqaddar hai, jiss say larr k daikho tum
Haar na jao to mera naam badal daina..


Ek lafz Wafaa ka hai, zamanay mein nahi milti
Kaheen say dhoond kar lao to mera naam badal daina..


Ek lafz Aansoo hai, issay dil mein chhupa kar daikho tum
Aankhon say na beh jaye to mera naam badal daina..


Ek lafz Judai hai, issay seh kar daikho tum
Toot kar na bikhar jao to mera naam badal daina..

Mere zarf ke mutabiq bijliyan girana


Mere Zarf k Mutabiq Zara Bijlian Girana
Jitni Ho Taab Mujh Mein utna Naqab Utthana


Tujhe chahne Se Pehly Kon Janta Tha mujh ko
Tere Ishaq Ne Bnai Meri Zindagi Fsana


Mujhy Ghamm Nahi Hai K Badal Geya Zmana
Meri Zindagi Tumhi Ho Kahin tum Badal Na Jana


Tu Jala Sake to Jala dy Tujhe Intzar Kia hai
Tere Pass Bijlian Hain Mere Pass Aashyana


Mere Sath Chalny Wali Teri Justaju K Sadqy
Bari Sakht Manzilen hain Kahin Thakk K Ruk na jana.

Ek Shaks Pas


Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe


Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe


Pathar Samajh Kar Paon? Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe


Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe.